Aj phir main tanha hoon
Aur yeh dil bhi udas hai
na hai koi rooshni ka cheeragh
na hi zindagi ka ehsas hai
aj phir kar raha hoon main tenha safar
dil main aj bhi tujsay milnay ki *** hai
mosam badltay rehaty hain par jazbaat badaltay nahi
main zinda to hoon par marnay ki *** hai
saal atay hain aur chalay jatay hain
meray is dil mian bas tery hi yaad hai
yeh zindagi hai ek taptay sehra ki tarhan
par mujay sirf teri hi piyaas hai
Ab bhi hain who galiyaan veeran
mager un main aj bhi teray qadmoo ki ahat hai
meray jazbaat hain aj bhi zakmi
mager meri aankh main aj phir wahi khaab hai
meri aakain hain betab barasnay ko
megar kahan un main asoon ki sooghat hai
Lafz tanhie ka matlab tum jantay hoo
is main ikhtitam-e-zindagi ka raaz hai
meray dil main samander jasa shor hai
aur mujay ak sahil ki talash hai
megar main ab woh nahi
na hi muj-main koi purani baat hai
main zinda hoon faqat teray liyan
aj bhi is dil mager zakmi honay ka ehsas hai
ab tham rahi hain sasaain meri
mager ab bhi kahan meray intizar ka ikhtitam hai
yeh zindagi bhi ek tamasha hai
meray ander ab bhi un kahay alfaz hain